Hello friends welcome to our website
Today we are going to learn how to make a website easily and quickly.
Dosto aaj hum jaan ne waale hai ke aasani se or jaldi se ek achhi website kaise banai jati hai. Iske liye aapko kisi degree ya fir kisi special skill ya kisi coding ki knowledge ki jarurat nahi hai. Aap ek laptop ya pc or thode dimag ke sath internet ka upyog karke ek behatreen website bna skte hai. To aayeeye jante hai ke ye ab hoga kaise.
Website kaise banaye.
Hum dheere dheere sabhi topic ko pura krenge . Aapko thoda sabr rakhne ki jarurar hai . Website banane se pehle ye to aapko malum hi hoga ke website hoti kya hai or ise kis liye pryog me laya jata hai.
Ek website internet ki dunia ka sabse aham pehlu hota hai. Hum har parkar ka data knowledge or janakari aaj ke wqt me internet se le skte hai. Or ye sb kuch samagri ek website par store hoti hai . Hum internet par kuchh bhi search krte hai to wo kuchh website hamare samne rakh deta hai hamari jarurt or search ke hisab se. Website ke dwara bde bde bussiness chalte hai. Bahut log website ka pryog krke lakho krodo rupay mahina kama rahe hai. Aap bhi kama sakte hai bs jrurt hai website ki or ap kis tarah ki website bna skte hai or chala skte hai. Aajkal blogging formula bahut jyada chal raha hai. Isme log apna blog ya website banate hai or alag alag tarah ki chize sikhate hai. Knowledge bant te hai. Reviews dete hai. Ya jo wo achha likh skte hai likh kar logo tak pahunchate hai.
Sabse pehle apni ek strength pakdiye ke aap kya likh skte hai apko kya knowledge hai or aap kos tarah ke blog ya website me apna future bna skte hai or kis topic pr jyada se jyada post likh skte hai.
Agar ye apko clear hai to chaliye fir apne computer ki screen par chrome browser kholiye
.
Ab hum janenge ke ek shaandar website kaise banai jati hai . Or us se paise kaise kamaye jate hai. Lekin aaj ki post me hum itna janenge ke website kaise banaye.
Dosto pehle ke wqt me website banane ke liye kisi IT engineer ya fir kisi computer ke master ko dhundna pdta tha or achhi khasi keemat me ek website hme milti thi. Lekin aaj ke wqt me aisa nahi hai. Bahut si aisi website internet pr aaj available hai jinka prayog karke hum khud apni ek achhi website bana sakte hai. Or ek cheap sa domain or sasti si hosting kharid kar use internet par publish kar skte hai. Ab apke dimaag me ek baat aa rahi hogi jo bhai log iz field me bilkul new hai ke what is domain. What is hosting.
To sabse pehle yahi clear kar lete hai baaki jinko pata hai wo skip kar skte hai aage.
What is domain name.
Domain meaning in hindi. Domain meaning
To aayeeye jante hai ke domain name ki bimari hai kya ye.
Dosto internet ki is dunia me kisi bhi website ki pehchan uska domain hoti hai. Us tak pahunchne ka jariya domain hota hai. Jaise kisi phone ki pehchan number insan ki pehchan uska id card or product ki pehchan uska model hoti hai vaise ki kisi bhi website ki pehchan domain hota hai jo lakho karodo websites me hamari ek website ko pehchan dilata hai. Ye domain har ek website ke liye alag or unique hota hai. Or alag alag exteions ke sath aata hai jaise .com, .net, .uk, .in, .org, .gov etc .
Ye extensions website kis prkar ki hai usme kaisa content hai ya uski prakriti kaisi hai ye pehchan dilati hai. .com commercial website ke liye istemal hota hai .net networking .uk united Kingdome .in india or .gov sarkari website ke liye. Aise hi aur bahur bhi hai aapko inki gehrai me jaane ki jarurat nahi hai aap befikar .com ya .net le sakte hai to chalega.
Ab aapko jarurat hai saste rate me domaim provide karane wali trusted company ki. Aajkal bahut sari hai search kroge to bahut mil jayegi lekin main recommend krunga aaj ke wqt ki jani mani website godaddy ki. Godaddy ek trusted company hai or cheap rate pr domaim deti hai.
Aapko apni website or apne content se related ek chhota or unique domain name search box me likh kar search krna hai or dekhna hai ke kya wo saste rate me upalabdh hai ya nahi agar nahi to thoda keyword ko badal kar check kijiye jab apko apka manpasand or unique name mil jata hai to use turant purchase kar lijiye. Or settings me jakar use activate kar lijiye. Or godaddy confirmation ke liye jo mail bhejega use confirm kijiye.
Dhyan rahe domain kharidne se lekar website chalane tak aapko ek achhe or permanent email address ki jarurat hogi. Itna to sbko pta hi hai ke email kaise banta hai or kya hota hoi.
Email bhi hamare phone number ke jaise internet ki dunia me hamari ek alag pehchan or communication ka jariya hota hai.
Ab jb aapne domaim register karke activate kar liya hai to chaliye chalte hai ab website banane ki taraf.
Ab hamare paas topic aa gaya hai ke
Website kaise banaye ya blog kaise banaye.
How to create website and how to start blogging.
Agar aap bore ho rahe hai to iska mtlb aap website banane or lakho kamane ke liye dil se taiyar nahi hai. Har ek pehlu dhayan se pdhiye or try kijiye . Ek baar me hi koi master nahi ban jata or aise hi koi lakho ni kama leta. You can but you need struggle.
Hanji to main kya keh raha tha...
Website banane ke liye aapke paas do platform hai sabse popular or trusted. Ek hai free me limited settings or features ke sath. Blogger jo ek google ka product hai. Blogger aapko free secure hosting provide karata hai. Google ka naam to aap jante hi hai to security or server ki tention nhi hoti isme. Isme bhi aap website banakar paise kama sakte ho or populer ban sakte ho or baad me paid hosting par convert kar skte ho.
Dusra tarika paid hai.
Wordpress
Wordpress open hai. Mtlb isme aap kaisi bhi koi bhi kisi bhi look ke sath apni website design kar skte ho. Or kaisa bhi seo kar sakte ho. Mtlb yaha aap jaldi grow kar skte ho. Lekin iske liye aapko achhi web hostinh kharidni padegi jo 3 ha 4 hajar se shuru hoti hai. Or ek saal baad dobada kharidni hoti ha. Isme feature bhi jyada milte hai or aap apni website me jo karna chaho kar skte hai. Balki blogger me aap limited hote ho par free ho.
Dono hi apni jagah sahi hai aap dono me se kisi par bhi bana sakte hai.
Chaliye pehle free wala method jaan lete hai. Free me start krke baad me jab kamai hone lag jaye to convirt kar sakte hai.
Website se kamai kaise hoti hai or kya krna pdega iske liye hum ek or post likhenge abhi ke liye website banana seekh lete hai. Aage se aage bahut section hai isme dheere dheere sikhenge ekdum kuchh nahi smjh payenge hum.
How to make a blog on blogger. Blogger par free me website kaise banaye.
Sabse pehle to apne pc ya phone ke chrome browser ko open karke blogger search karke use open kar lijiye.
Fir apne Email address se blogger me sign in kijiye. Gmail id or password se aap directly login kar sakte ho.
Ab aapke paas blogger ka firsr step aayega jisme aapne apna name daal kr continue to blogger kar dena hai.
Ab aapne apne content ke anusar ya fir jo bhi apne blog ka unique name aapne choose kya hai ya socha hai use daal kar koi ek template mtlb theme choose kare. Or apme blog ka address choose kren. Free blog me apke blog name ke last me blogspot.com aayega kyuki ye blogger par free blog banaya hai aapne.
Special .com domain ke liye aap domain purchase krke blogger ke sath jod sakte hai. Lekin ye kaam baad ke hai abhi aap blog bnakar uspar kuchh post daliye or free themes ko costmize karke uska istemal karna sikhiye.
Ye sabhi themes jo blogger me defaulted hai wo free hoti hai. Or inko aap apne hisaab se customize kar sakte hai. Ye ek alag topic hai jispe hum baad me discuss karenge.
Ab jab apne name or address dono sahi se choose kar liya hai to ab aage aapke paas kuchh is tarah ka blogger ka interface aayega. Ab yaha options aapke saamne hai or content apke hath me.
Aap ab post daal sakte hai.
Website ko edit kar skte hai.
Apke blog par visitor check kar skte hai.
Mtlb website ya blog bnane ka pehla step taiyar hai.
Aapne new blog create kar liya hai bs ab dheere dheere isko sajana hai or unique banana hai. Jo hum dheere dheere hi sikhenge. Ekdm na aap sb seekh sakte na sb ho skta.
Main har step ko detail ke sath clear krunga . Agr fir bhi kuhh reh jata hai ya koi sawal hai to comment me jarur likhe. Sabr rakhne se sab kuchh sahi hota hai to hold on and keep it up.
Ab bs aap apni jo bhi post aap likh sakte hai wo dalte rahiye. Ekdam na aapko views milenge na ranking dheere dheere google aapko smjhega or apki mehnat ka fal dega. Bs post kisi or jagah se copy paste na ho mtlb kisi or ki copy na ho. Apna khud ka likhe kam se kam 1000 words to jarur likhe. Or aasan bhasha me smjhaye. Sikhne ke liye duniya baithi hai bs unke dil me apni post ko lgana hai. Fir dikhte rahiye ek din aap bhi successful blogger ban jayenge.
website kaise banaye, how to make website in hindi.
Reviewed by Sunil KUmar
on
May 09, 2019
Rating:

No comments: